tanha tanha lagta hai, aadhi r

tanha tanha lagta hai, aadhi raat ka pora chaand

dil se baate’n karta hai, aadhi raat ka pora chaand

tu jo aana bhool gaya, ehd nibhana bhool gaya

tera rasta takta hai, aadhi raat ka pora chaand

us ke pyaar main khoey ham, uski khatir roey ham

dekh ke aksar hansta hai, aadhi raat ka pora chaand

such ye hai, paraya hai, phr be dil ko bhaya hai

baat meri kab sunta hai, aadhi aat ka pora chaand

ik din thi tanhai bohat, yaad tumhari aai bohat

bilkul tum sa lagta hai, aadhi raat ka pora chaand

Leave a Reply