December k mahinay ka wo Aakhri Din Tha,
Guzashta Saal me, myn ne
Mohabbat lafz likha tha
kisi kagaz k tukray per
Achanak yaad aya hai,
Guzashta Saal me tujh ko
kisi se baat karni thee
Ussay kehna tha Jaan jana
Mujhe tum se Mohabbat hai,
Mager myn keh nahi paya
Wo kagaz aaj tak lipta para hai
Dhool me lekin
kisi ko de na paya
Decmber phir k aya hai
Dubara Chah k bhi
Mohabbat kar nahi paya
December k mahinay ka wo Aakhri Din Tha..!!
Happy New Year 2015