Author: Ahsan Khan

Yadoon ka ik jhoonka aya hum se milnay barsoon bad

Yadoon ka ik jhoonka aya hum se milnay barsoon bad

Pehlay itna roye nahi thay jitna roye barsoon bad

Lamha lamha ghar ujhra hai mushkil se Ehsas huwa hai

Pathar aye barsoon pehlay sheeshay totay barsoon bad

Aaj hamaray huq pe duniya ronay dhonay bethi hai

Phool hoye hain itnay sastay jannay kaisay barsoon bad

Bhool bhi jaoo kis ne torda, kaisay torda, kion torda

Dhoond rahay ho kia ghalioon main dil ke tukray barsoon bad

Dastk ki umeed lagye kab tuk jeetay hain

Kal ka wada kernay walay milnay aye barsoon bad

…::: Ik Teri Kami :::…

…::: Ik Teri Kami :::…

Phir Chand khula phir raat thami
Phir dil ne kaha ik teri kami
Phir yaad ke jhonkay bhehak gaye

Phir pagal Armaan bhehak uthay

phir jannat see lagti hai zameen
Phir dil ne kaha ik teri kami
Phir ghuzray lamhoon ki batien
Phir jagi jagi see ratien
phir thehar gaye palkoon pe nami
phir dil ne kaha ik teri kami

…:::Naye Dinoo Ke Naye Safar Main:::…

…:::Naye Dinoo Ke Naye Safar Main:::…
Naye Dino Ke Naye Safar Main Dheean Rakhna
Khamosh, Chup Chap
Kuch Na Kehti In Saytoo’n Ne
Sonp Dalay Naye Taqazay Rafaqtoo’n Ke
Dheean Rakhna
Ke Apne Hisay Ke Sab Taqazay Nibahne Hain
Sath Chalte Hoye Safar Main
Her Ik Dagar Pe Chahtoon Ke Ghulab Likhna
Warq Warq Aetmad Jis Main
Harf Harf Main Ho Jaannisari
Nayi Khushian, Naye Munazir
Nayi Misalien, Naye Hawalay
Bas aik aisi hi muhabtoon ki kitab likhna
naye dinoo ke naye safar main…

Usne mujhe kuch is tarah se dekha ke me use

Usne mujhe kuch is tarah se dekha ke me use
Mohobbat karne pe majboor ho gaya,
Uske ek ishare pe duniya tabha karne pe majboor ho gaya,
Uske is nazariye ko me pyaar samajh betha,
Isiliye aaj use bewafa kehne pe majboor ho gaya.

KUCH TO HY TU BADAL GYA HY!

KUCH TO HY TU BADAL GYA HY!
.
Wo teri ankhon k khawb sary wo batin sari hisab sary swal sary
Jwab sary
Wo khushain sari
Azab sary
nsha tha jo wo utr giya hy,
.
KUCH TO HAI TU BADAL GYA HAI! Jo tery milny ki arzo thi
Jo tujko pany ki justju thi
Hui jo chahat abi shuro thi
Jo teri ankhon main roshni thi jo teri baton ki rangini thi
Jo teri sanson ki tazgi thi
Jo try lehjy main chashni thi wo sra meetha pighal gya hy
.
KUCH TO HY TU BDAL GYA HY”

Aag Dil Me Lagi Jab wo khafa hue

Aag Dil Me Lagi Jab wo khafa hue
Mehsoos hua Tab,
Jab wo Juda hue

Karke wafa Kuchh DE Na Sake wo
Per Bahut Kuchh De Gaye Jb wo Bewafa hue.

Assa Nahi k skahs acha nahi hey woh

Assa Nahi k skahs acha nahi hey woh
Jesa mery kheyal mein tha wasea nahi hey woh
Takhleeq asman pey mery leya howa
Mana k iss zameen per mera nahi hey woh

Hamein Pata Tha K Teri Muhabat K

Hamein Pata Tha K Teri Muhabat K
“Jaam” Mein “Zehar” hai ”

BEWAFA
Lekin.!

Tere Pilany Mein Khaloos itNa Tha k
HuM Thukra Na Skay… !

Ek baar jo gale lag kar roney diya hoota,

Ek baar jo gale lag kar roney diya hoota,
Hum ne bhi koi pal ?MUHABBAT? ka ji lia hota,
Toot k bikhar jatay us k ?QADMON? main,
Uski sansoon ne mera ?NAAM? to liya hota

Ek Khushi ki chaah mai har

Ek Khushi ki chaah mai har khushi se dur huye hum�
Kisi se kuch keh bhi na sake itne majbur huye hum..
Na aayi unhe nibhaani pyar mai wafaa�
Aur jamaane ki najar bewafa ke naam se mashur huye hum�

Kabhi koi apna anjan ho jata hai,

Kabhi koi apna anjan ho jata hai,
Kabhi Kisi anjan se Pyar ho jata hai,
Zaroori nahi jo khushi de ussi se Pyar ho.!
Dil torne walon se b Pyar ho jata hai.