Shikwa teri yaadon se

Shikwa teri yaadon se es tarah kia hum ne
Hansty hansty dil ko rula dia hum ne,

Ek lamha dia tum ne jeeny k liye
Aor us mein zindgi ko bita dia hum ne,

Ek safy pe likhi teri yaad ki daastan
Doosra hisa khali he jala dia hum ne,

Kis baat ki maazrat chahty hain woh
Jis baat ko sunty he bhula dia hum ne,

Woh kiun nahi aaty humary paas Hs
Jin ki rahon mein palkon ko bichha dia hum ne !