Zakaat Diya Karo Apne Maal Ki

Zakaat Diya Karo Apne Maal Ki

Hadees :

Ek Mertaba Rasool’Allah
(Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Khidmat
Me 2 Aurtain Aayi, Inkey Hatho Me Sone
(Gold) Ke Kangan The.

Aap (S.A.W.W) Ne Inse
Pucha, “Kya Tumne Inki Zakaat Di Hai?

Inhon Ne Kaha: Jee Nahi!

Huzoor Pak Ne Farmaya, “Kya Tumko Ye
Pasand Hai Ke Inke Badle Allah Ta’ala
Tumhe Aag Ke Kangan Pehanae?”

Woh Bolin, “Nahi!!!”.
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya, “Phir Inki Zakaat Dia Karo”