LOVE Shayari in Urdu

Tum Routh Jao Mujhse

Aisa Kabhi Na Kerna

Main Ek Nazar Ko Tarsoon

Aisa Kabhi Na Kerna

Main Pooch Pooch Haroon

So So Sawal Kar K

Tum Kuch Jawab Na Do

Aisa Kabhi Na Kerna

Tum Chand Ban K Rehna

Main Dekhta Rahoon Ga

Kisi Roz Tum Na Niklo

Aisa Kabhi Na Kerna

Tum Chalay Jao Jab Bhi

Tu Dekhoon Tumhara Rasta

Tum Loat K Na Aao

Aisa Kabhi Na Karna..