Sad Urdu Poetry

Mohabbat ke safar me koi raasta nahi deta

Zameen wakif nahi banti falak saya nahi deta

Gham aur dukh sub ke apne hote hain

koi kisi ko apne hisay ka Lamha nahi deta

Udaasi jis ke dil me ho usi ki neend urti hai

Koi kisi ko apni ankhon ka sapna nahi deta

Uthana khud hi parta hai tanhai aur gham ka badan apna

Ke jab tak saans chalti hai koi kandha nahi deta….