BARISH

Yaadain jaag jati hain
Barishon k mausam main

Har ghari satati hain
Barishon k mausam main

Shaambhi kisi surat
Chain se nahi kat ti

Subhain bhi satati hain
Barishon k mausam main

Zehen k jharokey main
Jab koi sada ubhrey

Aankhain bheeg jati hain
Baarishon k mausam main.