Category: Bewafa SMS

Chaand Nikla Hai

Chaand To Nikla Hai Magar Ye Raat Na Hai Pehli Si,
Ye Mulakat Mulakat Na Hai Pehli Si,
Ranj Kuch Kam To Hua Aaj Milne Se,
Ye Alag Baat Hai Ke Ye Baat Na Hai Pehli Si…

Shayari Bewafa

Dil Ke Kareeb Aa Kar Jab Wo Door Ho Gaye
Saarey Haseen Khuwab Mere Choor Ho Gaye
Hum Ne Wafa Nibhai To Badnamiyan Milien
Wo Ho K Bewafa B Mashhoor Ho Gaye

Hindi Vafaa Shayari – Wafaa SMS

Vafaa Ke Khvaab Muhabbat Kaa Aasara Le Jaa
Agar Chalaa Hai To Jo Kuchh Mujhe Diyaa Le Jaa

Maqaam-E-Suud-O-Ziyaan Aa Gayaa Hai Phir Jaanaan
Ye Zakhm Mere Sahii Tiir To Uthaa Le Jaa

Yahii Hai Qismat-E-Saharaa Yahii Karam Teraa
Ki Buund Buund Ataa Kar Ghataa Ghataa Le Jaa

Nadaamaten Hon To Sar Baar-E-Dosh Hotaa Hai
‘Faraz’ Jaan Ke Evaz Aabaruu Bachaa Le Jaa

Hindi Bewafa Shayari – Dard

Dard Jitna Hai Meri Nigaho Me
Paoge Na Utna Kisi Ki Raho Me
Bitani Chahte The Zindagi Jiski Bahon Me
Maut B Na Mil Payi Unki Panah

Dard Hi Sahi Mere Ishq Ka Inaam To Aaya

Dard Hi Sahi Mere Ishq Ka Inaam To Aaya
Khali Hi Sahi Hathon Mein Jam To Aaya
Mein Hoon Bewafa Sabko Betaya Usne
Yun Hi Sahi, Uske Labhon Pe Mera Naam To Aaya