Category: Hindi SMS

Jab sooraj dhalta hai

Jab sooraj dhalta hai to aasmaan ka rang badal jata hai,
Jab kismat badalti hai to logo ka dhang badal jata hai,
Din dhalte-dhalte sooraj bhi dhal jata hai,
Andhera hote-hote saya bhi chod jata hai…

Ae musaafir ham bhi chale

Ae musaafir ham bhi chale the kabhi un raaho par,
sajaaye the hamne bhi aakhon ke saajh par kuch sapne,
Lut gaye ham unhi se jo the kabhi mere apne…

Aaj arse baad jab suni uski aawaaj,

Aaj arse baad jab suni uski aawaaj,
To laga ki mere bahut paas hai wo,
Ho gai nam ye aankhen jab hosh
aaya aur paya ki
Kabhi na poori hone waali aas hai wo.

Ae kaash shaayri ham bhi likh paate,

Ae kaash shaayri ham bhi likh paate,
Lafjo ke khel ham bhi khel paate,
Khuda ne dil par chot kuch aisi di,
Aasuo ko chupaake kaash ham bhi muskura paate.

Ham raah me khadi imaarat ko

Ham raah me khadi imaarat ko manjil samajh baithe,
Chamakne waale patthar ko sona samajh baithe,
Wo to is dil ke rishte ko samajh hi na sake
Aur ham use khuda samajh baithe.

Dosti ke naam pe deewaane chale aate hai

Dosti ke naam pe deewaane chale aate hai,
Shama ke peeche parwaane chale aate hai,
Tumhe yaad na aayi khair,
Aana meri maut par,
us din to begaane bhi chale aate hai.

Aap ki baddua bhi dua ban ke lagi,

Aap ki baddua bhi dua ban ke lagi,
Aapke har gam ne bhi sakoon diya,
Ham jinda hai to yah jaankar ki
pyaar se na sahi par,
Aapne hame yaad to kiya…

Wo aai nahi kabhi mujhe yaad karke,

Wo aai nahi kabhi mujhe yaad karke,
Wo gayi jab bhi mujhe barbaad karke,
Agar wo aaye meri maut pe to use kah dena,
Abhi soya hai tujhe yaad karke…

Ye sach hai ki aa jaata hai

Ye sach hai ki aa jaata hai shohrat ka asar,
Insaan to kya farishte bhi badal jaate hai,
Aur bewafa badle ye na badle,
Waqt aane par vafadaar bhi badal jaate hai.

Cheej bewafaai se badkar kya hogi,

Cheej bewafaai se badkar kya hogi,
Gam-e-haalaat judaai se badkar kya hogi?
Jise deni ho saja umra bhar ke liye,
Saja tanhaai se badkar kya hogi?

Apni wo mulakaat kuch adhoori-si lagi,

Apni wo mulakaat kuch adhoori-si lagi,
Paas ho ke bhi thodi doori si lagi,
Hothon pe hasi aankhon me majboori si lagi,
Jindagi me pahli baar kisi ki doori si lagi.

Ek tooti hui janjeer ki fariyaad hai ham,

Ek tooti hui janjeer ki fariyaad hai ham,
Aur duniya ye samajhati hai ki aajaad hai ham,
Is aashiqi ne kya diya hai hamko,
Kal bhi barbaad the, aur aaj bhi barbaad hai ham…