Dooriyo ki na aap parwaah kiya keejiye,
Dooriyo ki na aap parwaah kiya keejiye,
Dil jab bhi pukaare bula leejiye,
Ham door jyada nahi aapse,
Bas apni palko se palko ko mila liya keejiye.
Dooriyo ki na aap parwaah kiya keejiye,
Dil jab bhi pukaare bula leejiye,
Ham door jyada nahi aapse,
Bas apni palko se palko ko mila liya keejiye.
Tumhe har safar ka kinara milega,
Chamakta hua har sitara milega,
Aayegi chehre pe pyaari si muskaan,
Message tumhe jab hamara milega.
Dil doob raha hai
ek kinara chaahiye,
Girte huye is pyaar ko
ek sahara chaahiye.
Andhera hi andhera hai
kuch kaise dikhe,
Ab in aankhon ko teri soorat ka
najara chaahiye…
Is shaam ki tanhaai se,
is dard ki gahraai se,
Ye dil kuch baat kar raha hai,
Jara samjho in fijaao ki chubhan ko,
Aaj phir tumhe koi yaad kar raha hai…
Jaan se jyada jaan tumhe chaahte hai,
Aawaaj dekar dekho jara ham tumhe paas hi milege,
Hamaari yaad me aansu na bahana,
Nahi to ham un aansu ke sang bah jaayenge…
Tohafa kya aaj tumhe main yaar du,
Bachi chand khushiya bhi tumpe apni waar du,
Maangi thi jo us khuda se tumhaare liye,
Un sabhi duaao ka tujhe main upahaar du…
Dil ke rishte ka koi naam nahi hota,
Mana ki iska kuch anjaam nahi hota,
Agar nibhaane ki chaahat ho dono taraf to,
Tamaam umra koi rishta nakaam nahi hota.
Hamari mahafil ko fasana mil gaya,
Hamari gajlo ko afsana mil gaya,
Aapka pyaar aisa mila jaise,
Khuda ki taraf se koi najrana mil gaya.
Mana ye waqt hame yaad karne wala nahi,
Par bewaqt hame yaad kar liya karo,
Mana aapke aas-paas saari duniyaa hai,
Magar kabhi hamaari kami ka bhi ehsaas kar liya karo.
Khuda se jab bhi milate hai,
Yahi fariyaad karte hai,
Khuda unhe khush rakhna,
Jo hame yaad karte hai.
Jindagi kisi ki amaanat nahi hoti,
Amaanat me kabhi kayaamat nahi hoti,
Dil ko sambhaal kar rakhna mere dost,
Ishq ki kaid me kabhi jamaanat nahi hoti.
Ae Khuda Apne Chand Pe Itna Gurur Na Kar,
Ek Chand Sa Dost Hum Bhi Rakhte Hai,
Jab Tariff Hoti Hai Teri Chand Ki,
Log Misal Mere Dost Ki Dete Hai!