Wafa ka naam mat lo yaaro….
Wafa ka naam mat lo yaaro….
Wafa dil dukhati hai….
Wafa ka naam lete hi….
Ek bewafa ki yaad aati hai….
Wafa ka naam mat lo yaaro….
Wafa dil dukhati hai….
Wafa ka naam lete hi….
Ek bewafa ki yaad aati hai….
Kash humne ki na hoti mohabbat uss bewafa se,
To aaj hume wafa ke badle bewafi mili na hoti,
Chahate toh aaj bhi unhe aapni jaan se jyaada,
Magar woh wafa nahi samjhti
Is jahan me mohabbat kash na hoti,
To safar-e-zindagi me mithas na hoti!
Agar milti bewafa ko sazae maut,
To diwano ki kabre yu udas na hoti!!
Ab To Ye Chandni Bhi Hamein Jalati Hai
Bhari Mehfile Bhi Thanhayi Sathati Hai
Jab Se Tum Door Gaye Ho Humse
Humari Aankhein Har Pal Dab-Dabati Hai..
Tujhe kya pata kya guzaratee hai mujh per,
Tu to mujhe dariya mein chod ke kinare se dekhtee hain;
Sahil bhi tera gulam hai aur lehrein bhi,
Dono bhi muzje bachaney se pehle tujh-se poochtee hain..
Bewafa tum ho to wafadaar hum bhi nahi,
Besharam tum ho to sharmile hum bhi nahi.
Pyaar ke is mode par aake kehte ho ke shadishuda ho…
Tho kya hua Darling…Kunware hum bhi nahin!
Log ishq karte hai bade shor ke saath,
Humne bhi kiya tha bade zor ke saath,
Magar ab karenge zara gaur ke saath,
Kyunki kal dekha tha use kisi aur ke saath!
Mujko Rula Kar Dil Uska Bi Roya To Hoga,
Uski Ankho Par Bi Aansu Aaya To Hoga,
Agar Na Kiya Kuch Haasil Hamne Pyar me,
Kuch na Kuch Usne Bi Khoya To Hoga….
Haan Hum Bewfa Sahi, Par Itna Mujhe Batao.
Bewafa Jo Nahi Hai Aisa koi Saksh Dikhao.
Haan Main Janta Hoon Aapne kisi se Bahut wafa ki Hai
Par yun kya aapne Khud se koi Wafa ki Hai….
Sans lene se teri yaad aati hai
na lene se meri jaan jati hai
kase kehdu ki sirf sans se jinda hu
ye sanse bhi to teri yaad ke baad aati hai ..
Khuda Ne Kaash Mohabbat Banaayi Na Hoti
Toh Aaj Iss Tarah Hamare Pyar Ki Rusvaayi Na Hoti
Kaash Unke Dil Mein Zara Si Wafa Hoti
Toh Iss Tarah Mere Saath Bewafaayi Na Hoti…
Seh Liya Har Dard Humne Haste Haste
Ujd Gaya Ghar Mera Yaaro Baste Baste
Ab Wafa Kare To Kis Se Kare Yaaro
Wafa Karne Gaye To Bewafa Hi Mile Raste Raste…
Aapki judai ne hamein shayari sikha di,
Judai ke gam ne hamein manzil bhula di,
Chahte to nehin thaey aapse juda hona para
Kya karein agar hamein apno ne hi peeth dikha di…..