Category: Poetry SMS (Love)

Hum tumharay dil mein hain k nahi

Dosti karna hamain bhi sikhado zara,
Us dil k konay mein hum ko bhi bithado zara,
Hum tumharay dil mein hain k nahi,
Zuban say na sahi sms se to batado zara.

Is anjaan duniya main aap kahan say aa gayai?

Aaj is qadar raah main ishq bikhra para hai,
Aaj her khushbo phiki, aur gumnaam her dua hai,
Is anjaan duniya main aap kahan say aa gayai?
Koon ho aap, jis nay mohabbat say mujhey chuna hai

Teri har ada mohabbat si lagti hai

Teri har ada mohabbat si lagti hai
Ek pal ki judayi sadiyoun si lagti hai
Pehle nahin socha tha ab sochne laga hoon
Zindagi ke har lamhe mein teri zaroorat si lagti hai

Aye Zindagi tu mujh se dagha naa kar

Aye Zindagi tu mujh se dagha naa kar,
Mein Zinda rahu yeh dua naa kar,
Koi dekhta hai meri jaan ko to hoti hai jalan,
Aye Hawa tu bhi usse chua naa kar.

Mohabbat hum bhi kertay hain

Mohabbat hum bhi kertay hain magar shikwa nahi kertay
hum apni mohabbat ko yun ruswa nahi kertay
jo paas aa baithay usey dil se chahtey hain
jo uth ker chala jaye usey roka nahi kertay

Qasam tumhari tumhain itna piyar karta hoon

Main apna aj apna kal thumara nam karta hoon,
main apne javen ka her aik pal tumharay naam karta hoon,
Samait sako gay na jisay tum ta qayamat,
Qasam tumhari tumhain itna piyar karta hoon.

Tum dilse pukar lena hum kafan chor denge

Panchi keh rahey hain k hum chaman chor denge,
aur sitare keh rahey hain ki hum gagan chor denge,
Agar tere ishq mein main mar bhi jaun ae sanam,
Tum dilse pukar lena hum kafan chor denge

Rakhna her pal is dil main hamari yaad

Hum is qadar tum per mur mitain gay,
Tum jahan daikho gay hum hi tumhain dikhengay,
Rakhna her pal is dil main hamari yaad,
Hamaray bad hamari pyar ki dastan dunia walay likhain gay,

Na to yaado ko yaad rakhte hain

Na to yaado ko yaad rakhte hain
Na hi sapno ko saath rakhte hain
Hum to buss unko yaad rakte hain
Jo hamein dil ke pass rakhte hain

Paani k bulbule sa hai mera pyar

Mere pyaar ka hisaab jo lagao gi,
To mere pyar ko bay hisaab pao gi,
Paani k bulbule sa hai mera pyar,
Zara si thees lagi to dhundte reh jao gi.

Tu zindagi main sabse azeez hai hamain

Tere Bina hum jeena bhool jaate hain…
Zakhmon ko seena bhool jate hain..
Tu zindagi main sabse azeez hai hamain..
Tujhse har bar yeh kehna bhool jaate hain.