Category: Poetry SMS (Sad)

Achanak Teri Yaad Ne.,.,.

Achanak Teri Yaad Ne
Rula Diya.

Kya Karoon Tum Ne Jo
Mujhe Bhula Diya.

Na Karte mhbt To Na
Milti Ye Saza

Meri Wafaon Ne jana
Tujhe Bewafa Bana diya,

Intikhab karna hay

Be-khuloos logo’n se
Ijtinab karna hay
Mujhy apne rishto’n ka
Ehtisab karna hay
Usay bhool jana hay ya
Usay yaad rakhna hay
Dukh tou ek jesa hay bs
Intikhab krna hay

Khuda ne hume aisa banaya hi nai…

Humare dilki gehrai ko koi samjh paya hi nai,
Kitne tanha hain hum koi jaan paya hi,
Kisi ko humari kami mehsoos ho,
Khuda ne hume aisa banaya hi nai…

Judai mein ye roz roz ka marna

Dil to karta hai zindagi ko kisi qaatil k hawalay kar doon SAAHIL
Judai mein ye roz roz ka marna mujhay acha nahi lagta

Na puch mere sabar ki inteha kaha tak hai

Na puch mere sabar ki inteha kaha tak hai,tu sitam kar le teri takat jahan tak hai,wafa ki umeed jinhe hogi unhe hogi,hume to dekhna hai tu bewafa kahan tak hai.
🙁

Aansu ko palko tak laya mat karo,

Aansu ko palko tak laya mat karo,
Dil ki baat kisi ko bataya mat karo,
Log muthi mein namak liye phirte hai,
apne zakham unhe dikhaya mat karo.

Agarche do kinaron ka…

agarche do kinaron ka sangam nhi hota,
magar ek sath chalna b koi kam nhi hata;
wo ankhain ek luta ghar hain jehan aansu nahi rehte,
wo dil ek pathar hai jis dil main kisi ka gham nahi hota,

Dest kehne wale

Jaankar unko, hai is baat ko jaana humne,
kis kadar palat-te hain yeh khud ko dost kehne wale.

Dil Ki Dharkanoo Ko

Dil Ki Dharkanoo Ko ik lamha saber nahi,
Shayd k us ko ab meri kader nahi,
Her safer mein mera kabhi hamsafer tha woh,
Ab safer to hai mager wo hamsafer nahi..!

Mout ke baad yaad

mout ke baad yaad aa raha hai koi,
mitti mery kabr ki utha raha hai koi,
a khuda do pal ki zindgi or de de,
mery kabr se udas ja raha hai koi…

Hadd se zyada

Aaj yeh tanhai ka ehsaas kuch hadd se zyada hai,
tere sang na hone ka malaal kuch hadd se zyada hai.
phir bhi kaat rahe yeh jiye jane ki saza yehi sochkar,
shayad is zindagani mein mere gunaah kuch hadd se zyada hai.