Category: Poetry SMS

Hum un ki chahat ka maan rkhty hain.

Hum un ki chahat ka maan rkhty hain,
Warna humary Aanso bhe zuban rkhty hain.

Mohabat tofano sy kr li hum ny,
ye jan k b k hum kacha makan rkhty hain.

Rulaya na karo

Is tara mein rahon aapki nigaon mein ,
Sada aap mujhe ishqe alam rulaya na karo……..

Chehray ki khushbu

Kisi k Chehry ki Khushbu ne kar diya pagal
Phir us k baad sama ka sama hua pagal
jo un se main ne kaha Zindagi bana lo Mujhe
To us ne Dheere se ik Lafz Keh diya pagal

Tumhari chahhat

tumhari chahhat ka aidrak hoa tha mujhay
tum say piyar yohi to nahi hoaa tha mujhay
tumhari razamandi ka yaqeen hooa tha mujhay
tum say aiqrar yo hi to nahi hoa tha mujhay
tumhari wafa ka hosla mila tha mujhay
tum say ainkar yonhi to nahi hoa tha mujhay

Mutalba humara

mutalba humara un sy kuch bhi zyda nahi
murta to hai hum py woh aur khabi jutata nahi
hum ny kub chaha jee jan sy woh chahy humein bhi
per woh to itna zalim hai dykh k bhi muskrata nahi
kerta to hai roshniyaon ki barish ka wada akser
filhaal to andhyry mein hath bhi barhata nahi
aye dil to hi yaqeen dilla us k ahed e wafa ka
jo hai sung zamany k aur hum sy nazr bhi millata nahi

Too ne daikha

too ne daikha hai kabi ghoor se chehray ko mere
kitny gham tere muhabbat ne chupaey hain mere
tere ik pal ki muhabbat ka ye asar hoa hai
kitny jazbat jo soe thy jagae hain mere
mai tu apnoo k hi dhokoon main gira rehta tha
tujh ko paya hai to ab sare paraey hain mere

tum say kahnay

tum say kahnay kay liaay bay-qarar hain hum
such tumharay hi talab-gaar hain hum
waqat milay to kabhi mil ker dekhiay
such baray hi milansar hain hum
sath wafa say nibhaay gay hum
such baray wafa-daar hain hum

Dil bay-qarar

Dil bay-qarar hoaa
tujh say kia piyar hoaa
dil bay-tab hoa
tujh say milnay kia etafaq hoa
hum say dil bay-aetbar hoa
tujh pay aetbar hoa
start aik silsila hoa
tujh say kia aiqrar hoa

Kya Fayada Kisi ko chahane ka ?

Kya Fayada Kisi ko chahane ka ?
Kya Fayada Kisi ki yadon me aansu bhane ka ?
jo samjhe na kisi ke dil mein basa pyaar..
kya fayada uske pyaar meindil ko tadpane ka

Kya baat hai

Kitabo k panno ko palat k sochta hu
u palat jaye meri zindagi to kya bat hai,
khwabo me roz milti hai jo
hakikat me aaye to kya bat hai

Kise ki khatir mohabbet ki intiha kar do

Kise ki khatir mohabbet ki intiha kar do
Per itna bhi nahi kay usay Khuda kar do
Mat chaho kise ko tot kar itnay kay
Kay usay apni wafaoun say hi bay wafa kar do

yeh mera dil samajhta hai….

k koi deewana kahta hai koi pagal samajhta hai,
magar dharti ki be-chaini bas badal samajhta hai,
tu mujhse dur kaisi hai main tujhse dur kaisa hun,
yeh tera dil samajhta hai ya mera dil samajhta hai

pyar ki kismat

pyar ki kismat koi na jane,
mar mitne ko taiyar hai diwane,
duniya dekhe tamasha aur
kahe, jal gaye pyar mae parwane.