Aankhain bheeg jati hain
Ghamon k selaab tu pehle bhi bardasht kr lete thy Saqi
Par ab tu ek katray se bhi aankhain bheeg jati hain
Ghamon k selaab tu pehle bhi bardasht kr lete thy Saqi
Par ab tu ek katray se bhi aankhain bheeg jati hain
Jab bhi aap se milne ki Taqdeer nazar aayi,
Mujhe Paon mein bandhi Zanzeer nazar aayi,
Teri Yaadon mein nikal parey Aansu,
Har Aansu mein teri Tasveer nazar aayi.
Har dharkan mein ek raz hota hay,
har baat ko batane ka ek andaz hota hai,
jab tak thokar na lagay bewafai ki,
har kisi ko apne pyar par naz hota hai.
ISHQ wahi hai jo ho ektarfa,
IZHAR e ishq to khwahish ban jaati hai,
HAI agar ishq to aankho mein dekho,
ZUBAN kholne se ye numaish ban jaati hai..
Mujhe dekh kar chehra ghuma lete hai,
Mujhe dekh par nazrein phira lete hai,
Par ek baat par ghaur unkay kartey hai,
Baatain ghairon ki, qasmain mere naam ki kha leti hai.
Khulle paare hain meri zindagi kay saare warq
Najane kab koi aandhi ura kar lai jaii
Kisi ka dard kahan tak apnay pass rakhon
Ye jis ka ho wo nishani bata kar lai jai
kabhi wo hum pe jaan dia karti thi
jo kehtay they wo maan lia karti thi
kal anjaan ban kar paas se guzar gai
Woh jo door se pehchaan lia karte thi…
Haath haaton say choot’ta kub hay?
Koi apnon say rooth’ta kub hay?
Jo bhi jur jaata hay aik baar,
Phir woh RISHTA toot’ta kub hay?
us ne mehsoos bhi na honey diya,
yun kahani ka rukh moor diya,
milney julney main ki kami pehley,
phir rafta rafta hamein hi choor dya
NA FIKR E FARDA
NA YAAD E MAAZI
NA CHAIN DIL KO
NA BE KARARI
NA HUD SE GUZRA HUWA JUNOON WO
NA KHAMOSHI WO PEHLE JESI
BAS EK UDASSI HAY DHEEMI DHEEMI
BAS EK KHAMOSH SI BE KARARI
JO ZINDAGI K ADHURE PAN KO
HUDON SE AAGE BARHA REHI HAY
SHAYAD TERI YAAD AA REHI HAY
HAAN…
TERI YAAD AA REHI HAY…!
Ulfat ka aksar yehi dastur hota hai,
jise chaho wahi apne se dur hota hai,
Dil tutkar bikharta hai is kadar jaise
koi kanch ka khilona chur-chur hota hai.
Kaun kehta hay k teri yaad say ghafil hay Saquib
Bister ki har shikan se poch kaisay guzarti hay raat meri..!
Baray hi sarfrosh hua kartay hain,
Haqiqaton ki aaghosh huwa karty hain,
Meri chup se naraz na hua karo,
Gehray samunder hamesha khamosh howa kartay hain