Category: Poetry SMS

‘Misaal-e-Maoj-e-Hawaa Darbadar Woh Aysa Tha

‘Misaal-e-Maoj-e-Hawaa Darbadar Woh Aysa Tha
Bechar Kay Pher Na Mila, Humsafar Woh Aysa Tha,

Khud Apne Sar Liyaa Elzaam-e-Bewafi Tak
Kaha Na Kuch Bhi Usay, Mutbar Woh Aysa Tha,

Usay Basaaye Howe Thi Balaa Ki Veraani
Diyaar-e-Hijar Mein Abaad Ghar Woh Aysa Tha,

Kay Jaise Chaand Musafat Se Maand Par Jaaye
Pas-e-Ghilaaf-e-Gubaar-e-Safar Woh Aysa Tha,

Na Dosh-e-Ehl-e-Hakam Par Na Zer-e-Taaj-e-Shahi
Sinaa Ki Nok Par Jachta Tha Sar Woh Aysa Tha,

Bas Ek Khawaab Ne Neenden Nachor Li Apni
Samaa Giya Meri Nas Nas Mein, Darr Woh Aysa Tha,

Lahu Lahu Meri Aankhen, Hain Taar Taar Qaba
Kay Haadsaa Hi Meri Jaan Magar Woh Aysa Tha,

Zameen Pe us kay Kate Bazu`on Ka Saaya
Adow Kay Saamne Seena Sapar Woh Aysa Tha,

Us Ka Kaam Tha Zakhmun Ki Parwarish “Mohsin”
Usi Kay Naam Dua, Charagar Woh Aysa Tha.’

Kin Lafzoon Mein Bayan Karoon

Kin Lafzoon Mein Bayan Karoon Apnay Dard Ko . . .!

Sun-nay Walay To Bohat , Han . . .!

par

Samajhnay Wala Koi Nahin . . . :

Hume Bhi Pyaar Karne Ka Khayal Aaya,

Hume Bhi Pyaar Karne Ka Khayal Aaya,
Jub Bhi Yeh Khayal Aya Khud Ko Akeala Paya,
Dhoonte Rahe Is Duniya Main Humsafar,
Kisi Ko Dhoke Baaz, Kisi Ko Bewafa Hi Paya…

Khushion se naraz hai meri zindagi

Khushion se naraz hai meri zindagi
Pyar ki mohtaz hai meri zindagi
Has leta hoon logon ko dikhane ke liye
Varna dard ki kitaab hai meri zindagi….

Jindagi bahut kuch sikhati hai,

Jindagi bahut kuch sikhati hai,
Kabhi hasati hai kabhi rulati hai,
Khud se bhi jyada kisi par vishwash mat karna,
Kyuki andhere mein toh parchai
bhi saath chod jati hai…

Kal raat khuda ne puchha,

Kal raat khuda ne puchha,
tu itna dosto mein kyun khoya hai.
tab andar se ye awaaz aayi,
dosto ne hi to di hai khushiyan,
pyar karke to hamesha ye dil roya hai..

Yeh Hijar Kya Hai

‘Yeh Hijar Kya Hai
Wisaal Kya Hai
Yeh Gardish-o-Maho Saal Kya Hai
Ye Jumla Rasmi Sahi Magar
Tum Meri Jaan
Kabhi To Poocho
Ke Haal Kya Hai’

Us Nazar ki tarf mat dekho

Us Nazar ki tarf mat dekho
Jo tumhe dekhne se inkaar karti hai.
Duniya ki bheed me us nazar ki taraf dekho.
Jo Sirf aur sirf tumhara intezaar karti hai…

Wo keh gaya hai

Wo keh gaya hai
“Mujhe Tum Se Mohabbat hai”

Ussay kiya maloom
ye lafzon main adda nahi hoti