Faqeer kyun tujhe marne ki
Faqeer kyun tujhe marne ki bad-dua dega,
Tera gharoor hi kar jayega tabaah tujhe ..
Faqeer kyun tujhe marne ki bad-dua dega,
Tera gharoor hi kar jayega tabaah tujhe ..
Yeh sisilaa meri ankhon pe hi nahin moqoof,
Main tera sheher bhi veeran karne wala hoon..
Bhari mehfil main uth kar, teri nigah ne,
Kisi ka haal bigara, to kisi ka mustaqbil…
Agar ehd-e-wafa ke baad bhi koi mukkar jaye,
Mohabbat ko ye lazim hai ke kuch kha ke mar jaye…
Taaqat-e-fariyad bhi mujh main na baaqi reh gayi,
Zulm karna aap ko mujh per ab asaan ho geya..
Kabhi to dekhy ga wo tum ko jhank kar,
Us ki gali mein roz tamasha kia karo..
Kitni shiddat se chaha tha mene us ko,
Koi dushman bhi hota, to nibhaata umar bhar..
Dekhi hai berukhi ki aj hum ny inteha Mohsin,
Hum py nazar pari to “wo mahfil sy uth gay…..
Kya hai wafa kya bewafayi maloon nahi
Wo apni thi ya paraayi maloom nahi,,
Maiyet pe hazir the jabke dost-o-dushman
Ek wo kiyun nahi aayi maloom nahi,,
Puchha jo logo ne mere marne ka sabab
Nazar usne kiyun jhukaayi maloom nahi,,
Mohabbat nahi thi to baad tere jane k Asgher
Wo is kadar kiyun royi maloom nahi…..
Yunhi Mausam Kee Adaa Dekh Ke Yaad Aya Hai
Kis Qadar Jald Badal Jate Hain Insaan Jaanaa:(
Aya nahin woh reh gaye rasty sajy sajaye,
yeh saal bhi guzar gaya har saal ki tarha..
Yeh tum se keh diya kis ne. . .
Kay tum bin reh nahi saktay. . .
Yeh dukh, hum seh nahi saktay. . .
Chalo, hum maan laitay hain. . .
Kay tum bin, hum buhat roye. . .
Ke raaton ko na soye. . .
Magar, afsos hai jana. . .
Kay ab kay tum jo louto gey. . .
Humain tabdeel paao gey. . .
Buhat mayoos hogey tum. . .
Kay agar poochhna chaho kay,
Aisa kyon kiya hum ne. . .
To sunn loo ghour se jana. . .
Poorani eik riwaayat tang aa ker tor di hum ne…
Mohabbat chhour di hum ne…
Haan. . .
” mohabbat choour di hum ne… “
Tum Mujhe Bhool Bhi Jaao To Yeh Haq Hai Tumko,
Meri Baat Aur Hai Maine To Mohabbat Ki Hai.