Be-aitbar shaks tha so waar kar gaya
Lekin mere shaor ko bedar kar gaya
Wa
a khalish si dosto rehti tamam umer
Acha huwa ke Aaj woh inkar kar gaya
Kuch main ney ishta’al mein shikwey gillay kiye
Kuch woh shikayatein sar-e-bazar kar gaya
Woh mila tou faaslay kat’tay chaly gaye
Bichra tou raastay mere pur khaar kar gaya
Pehle woh meri zaat ki tameer mein raha
Phir mujh ko apne hath sey masmaar kar gaya…