Category: Hindi SMS

Jindagi me ek pal sukoon na paya,

Jindagi me ek pal sukoon na paya,
Duniya ki is bheed me khud ko tanha paya,
Tere diye jakhmo ko pyaar samajhate rahe
Tere isi bhoolawe ke piche aur kisi se dil na lagaya.

Jindagee wafa se nibhaani chaahiye,

Jindagee wafa se nibhaani chaahiye,
Ki jo dosti to dil se nibhaani chaahiye,
Waqt aane pe dosti ke liye,
Jaan bhi gawaani pade to gawa deni chaahiye.

Chaand taaro ki kasam khata hu,

Chaand taaro ki kasam khata hu,
Main bahaaro ki kasam khata hu,
Koi aap jaisa najar nahi aaya,
Main najaro ki kasam khata hu.

Bhoolana aapko na aasaan hoga,

Bhoolana aapko na aasaan hoga,
Jo bhoole aapko wo nadaan hoga,
Aap to baste ho dil me hamaare,
Aap hame na bhoole ye aapka ehsaas hoga.

Chaman ko chaman ki bahaaro ne luta,

Chaman ko chaman ki bahaaro ne luta,
Saahil ko kashti ke kinaaro ne luta,
Aap to ek hi kasam se dar gaye,
Hame to aapki kasam dekar hajaaro ne luta.

Jindagee me kuch na mila hamko,

Jindagee me kuch na mila hamko,
To kya gam hai aapka SMS mila ye kya kam hai?
Aapke mobile me ek choti si jagah jo
Paalu to wo jagah TajMahal se kya kam hai?

Bahut door hai hamaare ghar se

Bahut door hai hamaare ghar se
tumhaare ghar ka kinara,
Par ham hawa ke har jhonke se
pooch lete hai,
Ki kya haak hai tumhara?…

Chehre ki har muskaan ban jata hai koi,

Chehre ki har muskaan ban jata hai koi,
Dil ki har dhadkan ban jata hai koi,
Phir kaise jiye jindagee uske bin,
Jab jindagee jeene ki wajah ban jata hai koi…

Kisi ke dil basna bura nahi,

Kisi ke dil basna bura nahi,
Kisi ko dil me basana khata to nahi,
Gunaah ho ye jamaane ki najar me to kya hua,
Jamaane waale khuda to nahi.

Takdeer ne chaha,

Takdeer ne chaha,
Takdeer ne bataya,
Takdeer ne tumko aur hamko milaya,
Khushnaseeb the ham ya wo pal,
Jab tum sa anmol saathi is jindagee me aaya.

Tamanna kare aap jin bahaaro ki,

Tamanna kare aap jin bahaaro ki,
Wo bahaar aapke kadmo me ho,
Khuda aapko wo hakeekat me de,
Jo socha aapne kabhi sapno me ho…

Lamhe ye suhaane ho na ho,

Lamhe ye suhaane ho na ho,
Kal me aaj jaisi koi baat ho na ho,
Aapka pyaar hamesha is dil me rahega,
Chaahe poori umra mulakaat ho na ho…