Category: Hindi SMS

Sooraj se kaho chamakna chod do,

Sooraj se kaho chamakna chod do,
Sitaaron se kaho timtimana chod do,
Tum milane nahi aa sakte ho to,
Apni yaadon se kaho ki yun satana chod de.

To taarif me aapki kuch ham farmaaye,

Ijaajat aap de,
To taarif me aapki kuch ham farmaaye,
Mohabbat aap de,
To us dil ke thoda kareeb ham aaye,
Shikaayat agar aap kare,
To dil ki dhadkan kahi tham na jaaye.

Jab aasmaan ke sitaare hamko dekhte hai,

Jab aasmaan ke sitaare hamko dekhte hai,
Ham kuch anjaani soch me pad jaate hai,
Har lamha ham aisa mahsoos karte hai,
Ki wo kuch kahte hi, chup ho jaate hai,

Chand se pyaari chandni,

Chand se pyaari chandni,
Chandni se pyari raat,
Raat se pyari jindagi,
Jindagi se pyaare aap…

Aapko lagta hai ki hamne

Aapko lagta hai ki hamne aapko bhoola rakha hai,
Aap nahi jaante dil me kahi chupa rakha hai,
Dekh na le in aakhon me aapko koi,
Isaliye palkon ko bhi chupa rakha hai.

Dil ki naajuk dhadkano ko,

Dil ki naajuk dhadkano ko,
Mere sanam tumne dhadakna sikha diya,
Jab se mila hai tera pyaar dil ko,
Gam me bhi muskurana sikha diya.

Khyalon ko kisi aahat ki aas rahti hai,

Khyalon ko kisi aahat ki aas rahti hai,
Nigaah to kisi soorat ki pyaas rahti hai,
Tere bin kisi cheej ki kami to nahi,
Magar tere bin tabeeyat udaas rahti hai.

Aakhon me aansu hai,

Aakhon me aansu hai,
Phir bhi labon pe muskaan hai…
Kyonki jeena to har haal mein hai,
To hasne me kya nuksaan hai,
sada muskurate raho.

Chaho to dil se mujhko mita dena,

Chaho to dil se mujhko mita dena,
Chaho to mujhko bhoola dena, par ye wada karo ki,
Kabhi meri yaad aai to,
Rona mat sirf muskura dena…

Har baat jubaan kah paati jo agar,

Har baat jubaan kah paati jo agar,
Aankhon ke ishaare kyon hote???
Agar samajhate hamaare ishaare tum,
Palkon pe ye aansu kyon hote???

Subaah ko yaad aayi to miss kiya,

Subaah ko yaad aayi to miss kiya,
Dophar ko yaad aayi to bahut miss kiya,
Shaam ko yaad aayi to dil uchal gaya aur
Jab jaan par ban aayi to SMS kiya.