Jara palat kar to dekh lete,
Jara palat kar to dekh lete,
Ham wahi khade the,
Pal do pal to aap muskura lete,
To un palon me ham apni saari jindagi jee lete.
Jara palat kar to dekh lete,
Ham wahi khade the,
Pal do pal to aap muskura lete,
To un palon me ham apni saari jindagi jee lete.
Aaj arse baad jab suni uski aawaaj,
To laga ki mere bahut paas hai wo,
Ho gayi nam ye aakhen jab hosh aaya aur paaya ki
Kabhi na poori hone waali aas hai wo.
Mere chehre ki hasi ho tum,
Mere dil ki har khushi ho tum,
Mere hothon ki muskaan tum hi to ho,
Dhadakta hai mera ye dil jiske liye
wo meri jaan tum hi to ho.
Koshish karta jab sher banane ki kabhi,
To kambakht pyaar yaad aa jata hai
Aur jab koshish karta hu pyaar yaad karne ki
kabhi to na jaane kaise sher ban jata hai…
Usko chaha bhi to ikraar karna na aaya,
Kat gayi umra, hame pyaar karna na aaya,
Usne maanga bhi agar kuch to maangi judaai,
Aur ek ham the ki inkaar karna na aaya.
Wo mausam wo bahaar bhi usake saamne kam thi,
Uske saath wo waqt wo fiza bhi kam thi,
Par kya kare ai jaalim apne haathon me
Mohabbat ki lakeer hi kam thi.
Dost dost nahi khuda hota hai,
Mahsoos tab hota hai jab wo juda hota hai,
Bina dost ke jeena saja hota hai,
Aur dost aap jaisa ho to jeewan
ek tohfa hota hai.
Jab hamne unse poocha,
Sapna kya hota hai,
to unhone kaha,
Band aakhon me jo apna hota hai,
Khuli aakhon me wo hi sapna hota hai.
Jindagi agar phool,
To tum khushboo ho…
Jindagi agar khwaab,
To tum aarjoo ho….
Jindagi agar jeena,
To tum meri jaroorat ho.
Dilo ko khridne wale hazar mil jayege,
aap ko daga dene wale bar-bar mil jayege,
milega na aapko hm jesa koi,
milne ko to dost beshumar mil jayege.
Dard se dosti ho gayi yaaron,
Zindagi bedard ho gayi yaaron.
Kya hua jo jal gaya aashiyana hamara,
Door tak roshni to ho gayi yaaron….
Khwabo main ayenge SMS ki tarah.
Dil main bas jayenge ring tone ki tarah,
ye yari kabhi kam na hogi balance ki tarah,
sirf tum busy na hona network ki tarah
Wafa Me Ab Ye Hunar Ikhtiar Karna Hai,
Woh Sach KaheNaKahe Aetabar Karna Hai.
Yeh TujhKo Jagte Rehne Ka Shauk KabSe Hua,
Mujhe Tau Khair Tera Intezaar Krna Hai.