¤ NIJAT ki jab appeal karna,
¤ NIJAT ki jab appeal karna,
¤ HUSSAIN * apna wakeel karna,
¤ Agar Sar kay badle * HUSSAIN * mile,
¤ To ZINDAGI na taveel karna.
¤ NIJAT ki jab appeal karna,
¤ HUSSAIN * apna wakeel karna,
¤ Agar Sar kay badle * HUSSAIN * mile,
¤ To ZINDAGI na taveel karna.
Leta Tamaam Kaam Woh Apne Wali Se Hy
Nisbat Har Aik Imam Ki Noor-e-Jali Se Hay
Kul Akhtiyaar De Diya HASSAN-o-HUSSAIN Ko
Daita Khuda Zaroor Hay Par Milta ALI Say Hay
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Karbala Ko Jis Key Sajdey Ney Mu-Allah Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Hasher Tak Koi Yazeede Sar Utha Sakta Naheen
Jis Ka Mutlab Zindagee Bher Deen Chuka Saktna Naheen
Nabi (Risalat)
Ali (imamat)
Nabi (Haqoomat)
Ali (Riyasat)
Nabi (Adalat)
Ali (Waqalat)
Nabi (Sakhawat)
Ali (Wirhasat)
Nabi (Rasol Allah)
Ali (Asad-ul-ALLAH)
Nabi (Habib-ul-ALlah)
Ali (Wali-ul-ALLAH)
Nabi (Hifz)
Ali (Hafiz)
Nabi (Quran)
Ali (Zubaan)
Nabi (Ibtida)
Ali (Intiha)
Nabi(Shaher)
Ali (Dar)
Nabi(Mustafa)
Ali (Murtaza)
Nabi(Talwar)
Ali (vaar)
Nabi(Ameer aur Mukhtar)
Ali (Haider-e-Karrar) …
Yun Hi Nahi Jahan Main
Charcha HUSSAIN Ka
Kuch Dekh K Hua Tha
Zamana HUSSAIN Ka
Sar De k Do Jahan Ki
Hukumat Khareed Li
Mehanga Para yazeed Ko
Sauda HUSSAIN Ka …
Jo Zulm Peh La’nat Na Kare, Aap La’een Hai
Jo Jabar Ka Munkir Nahi, Woh Munkire Deen Hai
(Faiz Ahmed Faiz)
Jabeen-E-Ibn-E-Ali Ki Niyaz Jari Hai
Khuda K Deen Ki Umr-E-Daraz Jari Hai
Sajday Main Rakh K Sir Ko Na Uthaya Hussain Nay
Mere Hussain Ki Ab Tak Namaz Jari Hai
Zahra aur Haider jiska jhula jhulaye,
khatm-e-mursal bhi jiske naaz uthaaye
Khaali sawaali jiske ghaar say naa jaaye
Hal min ki deta hai woh ban mai sadaaye.
Ya hussainan ya gharibun ya zabeehun bekhata
Janat Ki Aarzu Main
Kahan Ja Rahe Hyn Log
Janat Tou Karbala Main
Khareedi HUSSAIN Ny
Dunya-o-Aakhrat Main
Jo Rehna Ho Chain Sy
Jeena ALI Sy Seekho
Marna HUSSAIN Sy
Phir aaj Haq ke liye Jaan fida kare koi,
Wafa bhi Jhoom uthe youn wafa kare koi,
Namaz 1400 saalon se intezar mein hai,
“HUSSAIN” ki tarah mujh ko ada kare koi
Lafzon Mai Kiya Likhun
“SHAHADAT-e-HUSSAIN”
Mohsin…
Qalam Bhi Mera Ro Daita Hay
“KARBALA” Ka Manzer Soch Kar.
~ Kon kehta hai, K pani ko tarste the “HUSSAIN”,?
~ Un K honton ko, tarsta raha pyasa pani…
~ Selaab dekhta hon, tu Aata hai yeh ‘Khyal’,
K pani bhatak raha hai,
“Talash_e_Huseen” men.
Jisko Arbab-É-Nazar HaQ ka WaLi kehty Han
§ar-ßa-§ar WaQif-É-Israr-JaLi kehty Hain
Jisko Doba Hua §uraj ß PaLat kar Dekhy
Hm Usy Apny AQeedy Me ALI kahty Han