Category: Poetry SMS (Miss u)

Yaad mein teri aankhe bharta hai koi,

Yaad mein teri aankhe bharta hai koi,
har saans ke saath tujhe yaad karta hai koi,
maut to sachai hai aani hai,
lekin teri judaai mein har roz marta hai koi….!

Samjha do apni yadoon ko

Samjha do apni yadoon ko,
wo bin bulaye pas aaya karti hain,
aap to dur reh kar satate ho magar,
wo pas aakar rulaya karti hain

Dono aankho mein ashq liya karte hain

Dono aankho mein ashq liya karte hain,
Hum apni neend mein tera naam liya karte hain.
Jab bhi aayain Hichkiyaan tumhain,
Samajh lena hum tumhain yaad kiya karte hain….

Neend aati nahin aur raat guzar jati hai

Kitni jaldi yeh mulakat guzar jati hai,
Pyaas bujhti nahin ki barsaat guzar jati hai.
Apni yadon sey keho ki yun na sataya karain,
Neend aati nahin aur raat guzar jati hai

Pyaar dilse nibhayenge hum

Pyaar dilse nibhayenge hum,
Tum bhul jao bhi to,
Yaad dilayenge hum,
Aisi shararat karenge hum ki,
Na chahate hue bhi,
Tumhe yaad ayenge hum.

Akaila mehsos kero jub tanhai main

Akaila mehsos kero jub tanhai main,
Yaad meri ayai jub judai main,
Mehsos kerna tumharay hi paas hon main,
Jub chahey daikh laina apni hi perchai main.

Dil k konay say aik awaz aati hay

Dil k konay say aik awaz aati hay,
Hamain har pal un ki yaad ati hay,
Dil pochta hay bar-bar hum say,
Jihain hum yaad kertay hain,
Kia unhain bhi hamari yaad ati hay?

Hum nazaro se dur hai ankho se nahi

Hum nazaro se dur hai ankho se nahi,
hum khwabo se dur hai khayalo se nahi,
hum dil se dur hai dhadkan se nahi,
hum apse dur hai apki yado se nahi.
MISS YOU

Hum tum ko KITNA YAAD kertay hain

Her khushi main tumhari bat kartay hain,
Tum salamat raho yeh faryad kartay hain,
Ab aik sms main kaisay batayain k,
Hum tum ko KITNA YAAD kertay hain…

Tumse dur rehkar tumhe miss kiya humne

Tumse dur rehkar tumhe miss kiya humne,
Tumhare liye “God” se wish kiya humne,
Tumhari yaad chupke se chali aayi toh,
Toh bade pyaar se SmS kiya humne.

Nahi chahtay hum tum ko bhulana

sapne hain yadain hai or bahut kuch,
tum ho tumhari batain hain or bahut kuch,
nahi chahtay hum tum ko bhulana,
magar dori hai ek majbori hai or bahut kuch
I miss u

Sukhe phool wapas khila nahi sakte

Beetay pal wapas la nahi sakte
Sukhe phool wapas khila nahi sakte
Kabhi kabhi lagta hai aap hamein bhul gaye
par dil kehta hai k aap hamein bhula nai sakte.