Aansu ko bahot samjhaya tanhai me aaya karo,
Aansu ko bahot samjhaya tanhai me aaya karo,
Mehfil me hamara mazak na udaya karo,
Is par aansu tadap kar bola,
Itne logo me apko tanha paate hai, Isliye chale
aate hai!
Aansu ko bahot samjhaya tanhai me aaya karo,
Mehfil me hamara mazak na udaya karo,
Is par aansu tadap kar bola,
Itne logo me apko tanha paate hai, Isliye chale
aate hai!
rich people travel in cars
poor people travel in carts
but people like u
always travel in hearts.
Tammana-e-ishq to hum bhi rakte hain,
Kisi ke dil me hum bhi dhadakte hain,
Na jane woh kab milenge
jin ke liye hum roz tadapte hain.
Har aahat ehsaas hamara dilaayegi.,
Har hawa khushbu hamari laayegi.;
Hum dosti aisi nibhaayengey yaara!
Ki hum na honge aur humhari yaad
tumhe sataayegi..!!!
Us ajnabi ka youn na intezaar karo
Is aashiq dil ka na aitbaar karo
Roz nikla karen kisi ke yaad mein aanso
Itna kabhi na kisi se pyaar karo
Dil ki awaaz ko izhaar kehte hai,
jhuki nigah ko ikarar kehte hai
sirf paane ka naam ishq nahi.
kuch khone ko bhi pyaar kehte hai
jo kuch bhi mila hai usi mein khush hu
mein tere liye khuda se taqrar nahi karta,
par kuch to baat hai teri fitrat mein
zalim warna tujhe chahne ki khata baar baar nahi karta
Dil ke dard ko dil torne wale kya jana,
Pyar ki rasmo ke yeh zamane wale kya jane,
Hoti hai kitni takliff kabar ke niche,
Yeh upar se phool charane wale kya jane
Aapse nazrein to mila lein par
ye to bataiye ki
Aap mein aisa kya dekhein jo
dekhte hi deewana banade
Badi mushkil se militi hai
zindagi sambhal ke rakhiye
Kahin is shama ko hum
parvana na banade
Har khamoshi ka matlab inkaar nahi hota,
Har nakamyabi ka matlab haar nahi hota.
Toh kya huwa agar hum tume na pasake,
Sirf paane ka matlab pyar nahi hota.
tere husn ko shabdon mein
kaid kar raha hoon
jo rahe nakaam woh koshish
kar raha hoon,
amber pe hain lakhon tare
chamakte
ek ko is zameen par chamkane
ki koshish kar raha hoon
Har raahi ko mann chaha mukaam
nahi milta,
Jisko jee bhar pyaar kar sake
wo insaan nahi milta,
Aasma k sitaro ki tarah hamare
armaan bhi bikhrte rehte hai,
Jo apne dil mein hamein jagah
de sake wo meharbaan nahi milta
Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi
Hota Nahi Humse Ishq Bayaan
Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi
Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan!